Ye kis khalish ne phir is dil main ashiyana kya Phir aj kis ne sukhan ham se gayebana kya Gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho k dast-e-udu Salook jis se kya hamane ashiqana kya The khak-e-rah bhi ham log qahar-e-tufan bhi Saha to kya na saha aur kya to kya na kya Khush ha k aj har ik muddai k lab par hai Wo raz jis ne hamain rand-e-zamana kya Wo hilagar jo wafa ju bhi hai jafa khu bhi Kya bhi "Faiz" to kis bat se dostana kya
No comments:
Post a Comment